aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg
dekheñ kyā guzre hai qatre pe guhar hote tak
āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb
dil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak
ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin
ḳhaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak
partav-e-ḳhur se hai shabnam ko fanā kī ta.alīm
maiñ bhī huuñ ek ināyat kī nazar hote tak
yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī ġhāfil
garmī-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak
ġham-e-hastī kā 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak
Comments
Post a Comment